Humen Jaldi Hai janey ki buhaat
se kam karney hain
Kuch Mukhtasir se,
Magar Ujlat se bharey kuch kam baqi
hain
or kuch kbhi na khatam honey waley kam
hain
jo humen anjam dene hain ,
naye Logon se milna hai
puraney rabt ke kuch udhaar Lamhoo
ki Surat main hawa k burd karney hain
aur tumhen ik khat bhi likhna hai
jisey hum ne kuch arsey se moqoof rkha
tha
humary is Khat main adhori c
na mukammal c sapnoon ki Baten
hain
jo dard dil main dhal jaye
isi khizan Muasam ki raten
hain
or wo jo tumhara ik dard hain na,
usko naya ik nam dena hai
or ye jo humara afsana na Mukammal reh
gaya
usko adhora sa,
Koi tooota hua anjam dena hai
gaye mausam ki baten
purani guzri yaden
jo tumko sunani hain
tumhary Hijr me roti meri
tanha hoti hui ankhen dikhani hain
lehje ka tootna , banna, sanwrna
kaisy hota h
tumko ye bta na hai
koi dard nishtar ki soorat
sapnoon ki rag, khak ki toti hui
laryion ki soorat
kaisy chunta , kaisy bunta h tumehn ye
b bta na hai
palk main gham jhapakta, Khushi se
dard bunta
yehi 2, 4 adhhoori fazol c baten
beety dino k shikway, gaye dino ki
yaden
bus yehi kuch kam karny hain
tumahry nam karny han
han Magar,
humen jaldi hai janey ki
so itna yad rakh lena buhat sary
kamon
main se ik yehi Kam baqi hain
humari zindagi ki ab akhri jalti bujhti
sham baqi hai
isi ik Sham ko hum ne mana na hai
or tumko ye bta na hai
humen kuch kam karne hain
tmharey nam krne hain
( written by Sahir Lodhi)