Wednesday, 2 May 2012

Humen Jaldi Hai Janey


Humen Jaldi Hai janey ki  buhaat se kam karney hain
Kuch Mukhtasir se,
Magar Ujlat se bharey kuch kam baqi hain
or kuch kbhi na khatam honey waley kam hain 
jo humen anjam dene hain ,
naye Logon se milna hai
puraney rabt ke kuch udhaar Lamhoo
ki Surat main hawa k burd karney hain
aur tumhen ik khat bhi likhna hai
jisey hum ne kuch arsey se moqoof rkha tha 
humary is Khat main adhori c 
na mukammal c sapnoon ki Baten  hain
jo dard dil main dhal jaye 
isi khizan Muasam ki raten  hain 
or wo jo tumhara ik dard hain na,
usko naya ik nam dena hai 
or ye jo humara afsana na Mukammal reh gaya
usko adhora sa,
Koi tooota hua anjam dena hai 
gaye mausam ki baten 
purani guzri yaden 
jo  tumko sunani hain 
tumhary Hijr me roti meri
tanha hoti hui ankhen dikhani hain
lehje ka tootna , banna, sanwrna  kaisy hota h
tumko ye bta na hai 
koi dard nishtar ki soorat 
sapnoon ki rag, khak ki toti hui laryion ki soorat
kaisy chunta , kaisy bunta h tumehn ye b bta na hai
palk main gham jhapakta, Khushi se dard bunta 
yehi 2, 4 adhhoori fazol c baten 
beety dino k shikway, gaye dino ki yaden
bus yehi kuch kam karny hain
tumahry nam karny han
han Magar,
humen jaldi hai janey ki 
so itna yad rakh lena buhat sary kamon 
main se ik yehi Kam baqi hain
humari zindagi ki ab akhri jalti bujhti 
sham baqi hai
isi ik Sham ko hum ne mana na hai
or tumko ye bta na hai
humen kuch kam karne hain
tmharey nam krne hain
( written by Sahir Lodhi)


No comments:

Post a Comment